Naat Lyrics

Ab To Bas Aik Hi Dhun Hai Lyrics

Ab To Bas Aik Hi Dhun Hai Lyrics

Ab To Bas Aik Hi Dhun Hai Lyrics

Ab to bas aik hi dhun hai ke Madina dekhu(n)
Ab to bas aik hi dhun hai ke Madina dekhu(n)

Aakhri umar main kiya ronaq e dunya dekhu(n)
Ab to bas aik hi dhun hai ke Madina dekhu(n)

Jaaliyan dekhu(n) ke deewar o dar o baam e Haram
Apni mazoor nigaho(n) se mein kya kya dekhu(n)

Main kahan hun ye samajh lu(n) to uthaun nazrei(n)
Dil jo sambhle to main phir Gumbad e Khazra dekhu(n)

Meray Maula meri aankhe(n) mujhe wapas karday
Taake is baar mein jee bhar ke Madina dekhu(n)

Kaash Iqbal yun hi umar basar ho meri
Subha Kaabe main to phir shaam ko Taiba dekhu(n)

Ab to bas aik hi dhun hai ke Madina dekhu(n)
Ab to bas aik hi dhun hai ke Madina dekhu(n)

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button